4/8/12

mere hisse ka shayar मेरे हिस्से का शायर


mere hisse me jo ik ye
shayar aaya hai /
kahta hai ke ye duniya
bas “waqt ka saya” hai /
thaam leta hai vo har baar
mujhe doobne se pahle
kahta hai ghar khuda ne ik
tujh me banaya hai /
doston me kami dekhoon
to vo naraz hota hai
kahta hai ab taq apna tha
ab kaise paraya hai /
jo baaten uski mai pahle
nazar-andaz karta tha
kahta hai ab naa karna fir
har agla pal paraya hai ///      shajar

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

स्वागत है

नेटवर्क ब्लॉग मित्र