19/3/12

Thakte nahin gham roz chale aate hain / थकते नहीं ग़म रोज़ चले आते हैं

7 टिप्‍पणियां:
Thakte nahin gham roz chale aate hain / थकते नहीं ग़म रोज़ चले आते हैं

13/3/12

wō jō āwārā dikhā'ī dētā hai /वो जो आवारा दिखाई देता है

1 टिप्पणी:



¯¯¯

वो जो आवारा दिखाई देता है


शख़्स मुझसा दिखाई देता है



अब नहीं आता शोर भीड़ का

असली चेहरा दिखाई देता है



बेवजह की तुम्हारी मुस्कानें

सच मुंह पे दिखाई देता है


ना टटोलो जेब तुम अपनी

दिल है छोटा दिखाई देता है



खड़ी रहने दो दीवार 'भरत'

छुपा है क्या दिखाई देता है


¯¯¯

Wō jō āwārā dikhā'ī dētā hai


Shaḵẖs mujhsā dikhā'ī dētā hai



Ab nahīṁ ātā śōr bhīṛ kā

Aslī chēhrā dikhā'ī dētā hai



Bēwajah kī tumhārī muskānēṁ

Sach munh pē dikhā'ī dētā hai



Nā ṭaṭōlō jēb tum apnī

Dil hai chōṭā dikhā'ī dētā hai



Khadī rahanē dō dīwār 'Bharat'

Chupā hai kyā dikhā'ī dētā hai


9/3/12

Haan Mummy ! हाँ मम्मी !

4 टिप्‍पणियां:
छोटा शहर
– अपना
आवाज़ आयी
मेरा नाम लेकर , माँ बुला रही है

Chhota shahar
Apna -
Aawaaz aayi
Mera naam lekar, Maa bula rahi hai 

नेटवर्क ब्लॉग मित्र